Sunday, July 5, 2009

maa da ladla aur bigrega

Film 'Dostana' ki tapish se abhi logo ne nijat hi nahin paya tha ki ek aur tikhi kiran mastak par aan padi.High court ka yeh faisla, ki samlaingik samabandh manya hai, ne nishchit roop se Karan Johar ke chehre par muskaan la di hogi. Aakhir unhone kafi mehnat ki hai is vishay par.
Waise dekha jaaye to isme burai waali koi baat nazar bhi nahin aati.Jis tarah se desh mein Kanya Bhrun Hatya jaisa nikrisht apradh sachin ki batting jaisi chal rahi hai,usme ek din toh aisa aana hin tha, bhale hin wo kshan 10 saal baad aaye.
Kaha bhi gaya hai ki'Mile na phool toh kaanto se dosti kar li,
kuch is tarah se guzar hamne jindagi kar li,
Ab zahir si baat hai ki jab gulab rahega hi nahin to kaaton se dosti to karni hin padegi.
kabir ne kya khub kaha hai, kal kare so aaj kar, aaj kare so ab.
high court ka faisla kabir ji ke pad chinho par chalta hua dikh raha hai.
Aakhir itne bade bade deegree holder log baithen hain upar.
purane jamane mein lakde lakiyon ko milne se roka jata tha ki kahin badnami na ho jaye.
ab to koi dikkat hin nahin hai.aakhir friendship bhi kucchh chij hoti hai ki nahin.
Hamari atma aur samajh itni viksit ho chuki hai ki hum aane wale samay ke bare mein pehle se bahut kuchh jaan lete hain,kal ko kya ho jaye kya pata.
Waise bhi jo log subah-shaam park se nirash hokar ghar prashthan karte hain,wo is sher se prerna pa sakte hain ki
Haule haule ho jaayega pyar.
Pyar kaisa bhi ho male se male ka ya, female se female ka
pyar aakhir pyar hota hai.
yeh ishq nahin aashan bus itna samajh lije
Ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai
faisle ke baad,
'yeh pyar bahut aasan bus tension mat lije
upar ka faisla hai aur mauj manana hai'
Astu.

No comments:

Post a Comment